Wednesday, August 17, 2011

Na siyo hont...

Na siyo hont na khwabon mai sada do hum koMaslehat ka yeh taqaza hai bhula do hum ko

Jurm-e-suqrat se hat ker na sada do hum koZeher rakkha hai to yeh aab-e-baqa do hum ko

Bastiyan aag mai beh jaayen ke patther barseinHum agar soye huye hain to jaga do hum ko

Hum haqeeqat hain to tasleem na karne ka sababHaan agar harf-e-ghalat hain to mitaa o hum ko

Zeest hai is seher-o-shaam se bezaar-o-zabooNLaala-o-gul ki tarah rang-e-qaba do hum ko

Shorish-e-ishq mai hai husn barabar ka shareek
Soch ker jurm-e-tamanna ki saza do hum ko



Koi lamha ho tery sath ka, meri umr bhar ko samait lay...
Main fana baqa k sabhi safar, usi aik pal main guzar dun...

0 comments:

Post a Comment