Showing posts with label Shayari. Show all posts
Showing posts with label Shayari. Show all posts

Friday, December 30, 2011


tere ishq me jiye ham
tere ishq me mare ham
bas ye dua he rab se
ki wafaye hi kare ham
na gila he koi tujh se
na he koi shikayat
ye dua he ab to rab se
bas tu hame hi chahe
tujhe dil hi dil me chaha
na bataya ham ne tujhse
taa umr tujh ko chaha
na huwe - door -  tujhse
ye waada aaj tujh se
ke wafaa karenge tujhse

आज फिर से रोने को दिल चाहता है...
बीती बातों में खोने को दिल चाहता है...
याद आती है मुझको वो बातें पुरानी...
वो भोली सी मस्ती,वो प्यारी कहानी...
उन्ही यादों में फिर से खोने को दिल चाहता है...
आज फिर से रोने को मेरा दिल चाहता है...

मिले थे कभी हम इस अजनबी शहर में...
चले हम संग -संग अनजाने सफ़र...
पलकों में थे सपने,दिल में एक उमंग थी...
रास्ता था मुश्किल,ख़ुद से हर पल एक नयी जंग थी...
अब तो बस फिर यादें ही रह जाएँगी...
कुछ बातें रह जाएगी,वो रातें रह जाएँगी...
उन्ही रातों में फिर से सोने को जी चाहता है...
आज फिर से रोने को दिल चाहता है...


खैर मिल पाएगा नही अब वो कंधा...
जिस पर सर रख कर हम रो सके...
कुछ तुमसे कह सके ,कुछ तुमको सुन सके...
हँसता हूँ फिर भी आँखों में नमी है...
रोने के लिए अब आँखों में आँसू भी नही है...
पलकों का समंडर भी अब सूना लगता है...
तन्हा मुझको अब घर का आईना लगता है...
अब हर पल ख़ुद से बचने को दिल चाहता है...
आज फिर से रोने को दिल चाहता है...


कितने अजीब थे वो मस्ती भरे दिन...
सपने थे आँखों में नये रोज़ दिन...
बातों में हर पल थी शहद सी मिठास..
हमे दूरियों का ना था एहसास...
खेले थे हम हैर पल जिन खिलौने से...
उन खिलौने से फिर खेलने को दिल चाहता है...
आज फिर से रोने को दिल चाहता है...
 
pain
                                        

Ye Zindagi Tere Saath Ho
Ye Arzoo Din Raat Ho
Main Tere Sang Sang Chalon
Tu Har Safar Mein Mere Sath Ho
Main Kanton Par Bhi Chal Paron
Tere Pyar Ki Jab Barsat Ho
Kabhi Sham Dhalay Jab Hum Milain
Na Din Dhalay Na Raat Ho
Ye Zindagi Tere Sath Ho
Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti.
Jo Lamhe Mil Jaye Jeelo Riyazat Kuch Nahi Hoti.


Jise Mehroomiyaan Mili Ho Wahi Jaan Sakta Hai
Zubani Housla, Jhooti Murrawat Kuch Nahi Hoti 


Kaayiii Rishtoun Ko Jab Parkhi, Natija Ek Hi Nikla 
Zaroorat Hi Sab Kuch Hoti Hai Mohabbat Kuch Nahi Hoti 


Kisi Ne Jana Ho Toh Phir Chord Hi Jata Hai 
Bichardna Ho Toh Sadiyoun Ki Rafaqat Kuch Nahi Hoti 


Ta'alluq Toot Jaye Toh Safane Doob Jaate Hain 
Yeh Sab Kehne Ki Baatein Hain Haqeeqat Kuch Nahi Hoti 

Tuesday, December 27, 2011

AKSAR MERE DOST MUJHSE NARAZ HOTE HAIN.
AUR KABHI KABHI TO VO APNA AAPA BHI KHOTE HE.
KEHTE HE SALE COLLEGE ROZ KYO AATA HE.
EK DIN BUNK MARNE ME TERA KYA JATA HE.
KITNA PADNE WALA HO GAYA HE,YE KAHKE TANA KASTE HE.
FIR BHI CT(CLASS TEST) ME FAIL HE,YE KEHKE MUJHPE HASTE HE.
UNKI IN BATON KO MAI SUN KE RAH JATA HOON.
KYOKI APNE AAP KO MAI NIRUTTAR PATA HOON.
KEHNA TO CHAHTA HOON,PAR KEHNE ME SHARMATA HOON.
KI KYO MAIN ROZ COLLEGE JATA HOON.........






PADNE KI TO BAAT NHI,YE TO APNI SAMJH KA PHERA HAI.
BEVKUFO KO SAYAD PATA NAHIN,APNI CLASS ME KUDRAT KI KHUBSURTI KA BASERA HAI.
DIN SAFAL HO JAYE UNKO DEKHKAR YE REHTA KHYAL MERA HAI.
AKSAR UNKI BENCH ME ,MERI NAZRO NE DALA DERA HAI.
LAGTA HE DUNIYA KI KHUBSURTI HAI UNKI MUTTHI ME.
BHAGWAN NE JINKO BANAYA HE,GARMI KI CHHUTTI ME.
AUR EK HUMKO BHAGWAN NE JALDI-JALDI ME BANAYA HE.
HUMPE KALI SHYAHI POTI,GORA RANG TO UNPE LAGAYA HE.
AKSAR JO APNE AAP KO ANGRY GIRL BATATI HE.
AUR AKSAR JO KHUD KO U TANHA-TANHA PATI HE.
USKI HAR TANHAI ME,MAIN KHUD KA SATHI PATA HOON.
AUR SAYAD ISILIYE MAI ROZ COLLEGE JATA HOON.


JAB WO CLASS NHI AATI,CLASS ME MAN KAHAN LAG PATA HAI.
SHORT-STTENDENCE ME UNKA NAAM MAT AA JAYE,YE SOCH KE DIL GHABRATA HAI.
EXAM FORM SE PEHLE HOD ROOM ME,UNKA BULAVA AATA HAI //(DUE 2 SHORT ATTENDENCE)
KYA KEHTE HE HOD SIR,UNKA CHEHRA UTAR JATA HE.
AKSAR UNKI YAAD ME,COLLEGE TIME YU HI GUJAR JATA HAI.
PADAI KYA HUI KHABAR NHI,ATTENDENCE DIYA BAS YAHI YAAD AATA HAI.
APNE RESULT SE PEHLE,UNKE RESULT PE DHYAN JATA HE.
APNE 1ST DIVISION SE UTNI KHUSHI NHI,UNKE GRACE PAS PE BHI DIL MITHAI BATNA CHAHTA HE.


JAB SIR HUME KUCH KEHTE HAI,HUM SUNKAR KHUSH REHTE HAI.
PAR DIL TUT JATA HE,JAB UNKO KUCH KEHTE HAI.
4 SAAL KA SUKH THA YE,JISKO KHONA NHI CHAHTA THA
AUR ISILIYE MAIN ROZ COLLEGE JATA THA.
AUR ISILIYE MAIN ROZ COLLEGE JATA THA .


Chalo Hum maan lete hain
Tumhen Hum kho chukay lekin
Tumhri yad ab tak bhi
Hamain betaab rakhti hai
Hamari sans ab tak bhi
Tumhari aas rakhti hai
Magar ab ye bhi suntay hain
Tumhri raah roshan hai
Tumhen bhi mil gaya koi
Magr afsoos..
Hum Jesa….
Agar pao kahin Tum to
Mujhe do lafz likh daina, k
‘MANZIL’ mil gae muj ko.

Husn Ki Jheel Ho Tum or Kinaray Hain Ye Hont.
Sach To Ye Hay Ke Mujay Jan Say Piaray Hain Ye Hont
Mainy Hr Bar Mohabat Sy Inhain Chuma Hy
Os Ny Hr Bar Mohabat Sy Obharay Hain Ye Hont
Hath Honto Py Mery Rkh K Mujhy Kehny Lgy
Rokeay In Ko, Boht Shoq K Mary Hain Ye Hont
Band Hoty Hain Ye Inkar Ki Surat Mai Mgr
Adh Khilay Hon To Mohabat K Isharay Hain Ye Hont
Aj Khud Apny Muqadar Py Mujhy Rashk Aya
Aj Honto Mai Mery Us Ny Otaray Hain Ye Hont
Chum Kr Hont Mery Us Ny Kaha tha ye Qateel
Bas Tumary Hain,Tumary Hain,Tumary Hain Ye Hont!


Thursday, December 15, 2011



                  bari mushkil se bnaya tha apny ap ko kabil us k....

us ne ye keh kr bikhair diya.....

k tujh se muhabbat to ha pr tujhy pany ki chaht nai.


Tuesday, December 13, 2011



Koi dhundla sa ek chehra mere ankhon mein rehta hai
koi bahtka sa ek Jugnu meray Khaboun mein rehta hai

EK manoos si awaz mujy sonay nai deti
Koi uljja sa ek jumla mere yaadon mein rehta hai

Hai kis k shabnami Anchal ki Khusboo ab tuk muj mai
Koi ehsas mehka sa mere saansu mein rehta hai

mujay khud per nahi qaabu na mai kuch bol sakta hOun
Asar yeh kis k lafzu ka mere baatu mein rehta hai

December ki khunk raatay muj ko baychain rukhti hai
Lums ek hath ka ab tuk mere sochu mein rehta hai

Hai dil bi muztarib, Ehsaas bi sochu ki Uljan bi
Yeh kis ki Ankh ka Ansoo mere Ankhon mein rehta hai




Hope is knowing that a positive outcome awaits.
Hope is not only expecting a dream to come true,

But also having a deep assurance


That it's within your reach.
Hope is saying you can.
Hope is knowing that you can improve

And that you always get better with practice.
Hope is knowing that you can achieve your goals
Through hard work and persistence.
Hope is looking to the future with joy



And having an expectation of

Better things to come.
Hope is the knowledge that life is everlasting,

And that miracles happen every day.
Hope is something that never abandons you.

Even when your life is filled with

Sadness and disappointment,
A spark remains inside to help you

Get through the rough times.
Hope is one of God's greatest gifts to you,

Because it's the magic that inspires you

To keep trying, learning, loving, and living..



Jo Koi Aziz Hota Hai 
Jab Woh Durr Hota Hai 
Naa Dil Ko Sukoon Hota Hai

Baatoun Me Wahi Hota Hai 
Qiyaaloun Me Wahi Hota Hai 

Dil Me Usski YAAD Hoti Hai 
Hontoun Pe Ussi Ka Naam Hota Hai

RUH Me Wahi Samaya Hota Hai 
Dil Ussi Keliye Beqaraar Hota Hai 

Jab Koi Aziz Hota Hai 
Jab Woh PAAS Hota Hai 

Aankhoun Me Neend Hoti Hai 
Dil Me Sukoon Hota Hai 

WOH Humare PAAS Hota Hai 
Laikin Dil Ko Nahi Qiyaal Hota Hai

Naa Humko Usski Khadar Hoti Hai 
Naa Humko Usska EHSAAS Hota Hai 

" Jab Woh Ek Saans Bhi Leta Hai Toh 
Samajh Jaati Hoon Ki Ye Saansein Ussi ki Hain "

Tuesday, November 8, 2011


Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi

Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi
Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi
Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi
Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi


Tum phir duir chale jaoge
kaise kahein kitna humhe tadpaoge

baaton baaton mei teri baat aayege
dil ki baat tumse na kah paayenge

hawa bhee choo ker tujhe mere paas na aayegee
har subah teri yaad humhe tadpaayegee

raat chamkenge sitaare aur ichha bhee machlege
baarish ki boondein bhee tapish na bujhaayege

yeh aankhe har aur kisi apne ko dhoondheinge
ban kar aansoo aankho mei yaadein machelge

dil ko raund kar jo bheer mei kho jaoge
jaane kaise phir tum bhee so paayoge...

Thursday, October 27, 2011



TADAP KE DEKHO KISIKI CHAHAT MEIN
TO PATA CHALE KI PYAR KYA HOTA HAI
YUN HI MIL JAYE HAR KOI RAHO MEIN
TOH KAISE PATA CHALE KI INTEZAR KYA 
HOTA HAI.

KANTO KO CHUNA SIKHAYA NAHI JATA
PHULON KO KHILNA SIKHAYA NAHI JATA
KOI BAN JATA HAI KHUD HI APNA
KISIKO APNA BANAYA NAHI JATA.

 
Ik Raat Hui Barsaat Bohat, Hum Roye Saari Raat Bohat, Har Gham Tha Zamane Ka Lekin, Hum Tanha The Us Raat Bohat, Phir Ankh Se Ek Sawaan Barsa, Jab Seher Hue Khayal Aya, Wo Baadal Kitna Tanha Tha, Jo Barsaa Saari Raat Bohat.

Mili Hayat Hi Aisi Ke Haya Bhi Ro Pari, Teri Talash Mein Zalim Saza Bhi Ro Pari, Tujhe Toot Ke Chaha Or Itna Chaha, Teri Wafa Ke Khatir Wafa Bhi Ro Pari, Mera Naseeb Meri Qismat Mera Muqadar Bani Tu, Tujhe Hi Mangte Mangte Dua Bhi Ro Pari, Kitab-E-Dil Mein Tera Baab Jab Band Kiya,Khatm Karte Karte Aye Wasi Kitaab Bhi Ro Pari.


Veeraan Hai Mehfil Meri Jab Se Tum Gaye Ho,
Bujh Gayi Hai Saari Roshni Jab Se Tum Gaye Ho,

Andheron Ke Saaye Mein Hai Abb Rooh Meri,
Roshni Ne Chhora Daaman Jab Se Tum Gaye Ho,

Dil Ki Duniya Khali Hai Tab Se, Jab Se Tum Gaye Ho,
Sab Aane Se Darte Hain Yahan, Jab Se Tum Gaye Ho,

Sheeshe Mein Dekhta Hun Chehra Apna To Ro Deta Hoon,
Kissi Ne Na Poonche Aansoon Jab Se Tum Gaye Ho,

Khamosh Ho Chuki Hai Zubaan Jab Se Tum Gaye Ho,
Meri Aankhon Mein Toote Hue Sapne Kuch De Gaye Ho,

Unhi Sapno Mein Ab Zindagi Ki Guzzar Karta Hoon,
Us Khawab Ko Toda Nahin Jab Se Tum Gaye Ho,

Door Jab Tum Mujh Se Ho To Yeh Khyal Aata Hai,
Kya Meri Tarah Tum Bhi Aahein Bhar Rahe Ho,

Phir Jab Aati Hain Mujhe Yeh Hichkiyaan,
Yeh Sochta Hoon Kahi Tum Mujhe Yaad Kar Rahe Ho,

Zinda Hoon Main Yahaan To Teri Hi Khatir,
Ke Maut Bhi Aati Nahin Hai Jab Se Tum Gaye Ho,
Akelapan Hi Hai Bas Sirf Abb Mere Saath,
Khushiyan To Tum Se Thhi, Tum Unko Le Gaye Ho.

Thursday, October 6, 2011

तेरी चुप भी बाते हज़ार करती है

www.Filmitarka.com

तेरी चुप भी बाते हज़ार करती है
मेरी आंखे तेरा इंतजार करती है
दीवाने दील का आलम क्या कहू तुझसे
बेबस होकर भी चाहते मेरी बिना देखे ही तुझे तेरा दीदार करती है

www.Filmitarka.com

Tuesday, July 19, 2011



Socha na tha teri ulfat me aise thokar khaayenge,
Pyaar ki duniya me saans lene se pahle hi mar jaayenge,
Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jazbaat nahi,
Aur kitne dil yaha jeete aur haare jaayenge,
Chahta to hu magar aasaan nahi tuje bhoolna,
teri yaadon ke sahare yuhi din kat te jaayenge .


Gham Ke Bina Zindagi Adhoori Hai,
Ae Musafir Phir Bhe Tera Jeena Zarori Hai,
Mat Ho Apni Zindigai Se Khafa,
Kyon Ki Teri Zindagi Ke Bina,
Ek Aour Zindagi Adhoori Hai.. 

Sunday, May 29, 2011