Wednesday, August 17, 2011

Chale ho chaandni shab main unhain manaane ko..


Kabhi kaha na kisi se tere fasane ko,

Na jane kaise khabar ho gayi zamane ko!

Chaman main barq nahi chhorti kisi soorat,

Tarah tarah se banata hoon aashiyaane ko.

Suna hai Gair ki mehfil main tum na jaoge,

Kaho to aaj saja loon gareeb-khaane ko.

Dua bahaar ki mangi to itne phool khile,

Kahin jagah na mili mere aashiyaane ko.

Chaman main jana to sayad dekh kar jana,

Akela chhor kar aaya hoon aashiyaane ko.

Meri lahad pe 'patangon’ kaa Khoon hota hai,

Huzoor shammaa na laayaa karain jalaane ko.

Dabaa ke chal diye sab qabar main dua na salaam,

Zara si dair main kya ho gayaa zamaane ko?

Ab aage is main tumhara bhi naam aayegaa,

Jo hukm ho to yahin chhor doon fasaane ko.

'e - relove' zaraa bhi nahi tujhko Khauf-e-rusavaayi?

Chale ho chaandni shab main unhain manaane ko..


0 comments:

Post a Comment