Monday, September 26, 2011

Pyaar ka ek phul

Pyar hai wo hasta huwa phul Jo har ek insaan ke nasib me nahi..  Jise milta hai pyaar wo is duniya ka khush nasib insaan hai. Jise na mile pyaar wo na jane kaise ji leta hai? Isiliye jindgi me aa kar insaan ne kisi na kise se pyaar karna chahiye. Ek bar apna dil kisi ke liye bekarar karna chahiye Is se jo khushi milti hai wo khushi kisi or chig me nahi. Is me mushkile bahot si hoti haiMagar use nibha kar aage badhne wala insaan hai. Pyaar me kamyab kehlaya jata hai.Harne wale insaan ka pyaar sachha nahi. Pyaar insaan ko hasna sikhata haiJisme kho jane ko ji chahta hai. Har dard me rona sikhata hai.Pyaar hai wo ek darya. Isiko kehte hai pyaar Jo har pal hame yaado me Kho jane ko majbur karta hai. Jaan se jyada is pyaar par Mar mitne ko dil chata hai. Duniya ki najro se use chura kar Kahi dur le jane ko ji chahta hai. Kyoki ye duniya kabhi do sachhe pyaar Karne walo ko milne nahi deti, Pyaar ki umido ko tutne nahi deti.

0 comments:

Post a Comment