mann se dostana ho to kitna acha hai,
saari kaynaat haseen nazar aati hai
par ek bure daur mein shayad,
mann ki fitrat hi hamein badal jaati hai...
mumkin nahin mann se kabhi nibha pana dosti
kyunki kam hi thehrata hai ye afsaana-e-dosti
ilam hai ek din ye jaroor dega hamein daga,
par phir bhi nibhayenge hum is se yun hi wafaa...
zindagi ke ache daur mein dikhata hai ye nek raah
isliye hum ankhen moond ke is ki rah par chal diye,
thaame raheinge yun daaman isi ka,
jab tak jalte rahenge yun bahaar ke diye
na thama daaman iska to denge khud ko hi ilzaam,
kyun ache daur mein bhi humne naa paya qraar-e-zindagi
mile chahe manzil, ya na mile,
par na degi lutf is ke bina bhaar-e-zindagi....
kyunki khaabon ki raah hi to hoti hai mann ki raah
iske bina to adhoori hai fariyaad-e-zindagi...
khaabon ki is jang ke sipasalar se,
nibhayenge dostana apni hayaat-e-zindagi....
Friday, December 31, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment