“MERI AADAT”
“Kanto se daman uljhana meri aadat hai,
Dil se paraya dard basana meri aadat hai,
Mera gala kat jaye to tujh par kya iljam?
Har katil ko gale lagana meri aadat hai,
Sabko khushi ka sagar dekar,
Khud gum me dub jana meri aadat hai.
Dil se nahi par swarth se pass jo mere aate hain,
Hans kar unse bhi dil lagana meri aadat hai,
Pahchan ko rishtey ka naam dekar,
Jo koi rishtey nibhate hain.
Khushi se aise rishton ko apnana meri aadat hai,
Sabki baatein sun leta hun, main chup chap magar
Apne dil ki karte jana meri aadat hai.”
Friday, October 9, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment