Tere har khwaab ko hi mene tod diya,
Tere ikraar ne meri zindagi ko hi mod diya.
Koi padh na le mere aanshuon ki wajah,
Isiliye mene to rona hi chhod diya.
Meri zindagi me teri kya ahmiyat thi,
Tu puchh khud se tujhme kya insaniyat thi.
Teri zindagi to sanvar gayi ek pal me,
Lekin mene apni zindagi ko sawarna hi chhod diya.
Koi padh na le mere aanshuon ki wajah,
Isiliye mene to rona hi chhod diya.
Kisi din yaad aaye tumhari mujhe to,
Bhoolkar bhi na aana e sanam mere dar par.
Tum aakar laut jaogi pata hai mujhe,
Isiliye to tumhe mene bulana hi chhod diya.
Koi padh na le mere aanshuon ki wajah,Isiliye mene to rona hi chhod diya.
Tumhari khushi me hi khush rahunga,
Gum-e-judae ka ye lamha mein sahunga.
Meri har khushi bhi tumhe mile ab,
Humne to apni khushi mangana hi chhod diya.
Koi padh na le mere aanshuon ki wajah,
Isiliye mene to rona hi chhod diya.
Sunday, May 22, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment