Friday, May 6, 2011

Jeene ki Umeed


Mujhe Jeene ki Umeed dobara de do,
Meri doobti kashti ko kinara de do,
Main Dard k Sahil pe tanha kharra hoon,
Phir aa k apni baanhon ka sahara de do,
Tera daman to bhara hai sitaron se,
Mujhe un sitaron main se 1 sitara de do,
Mere Aangan main aj andhera hai bohet,
Meri Dehleez ko phir apna Nazara de do,
Chand lamhen tujhe dekhne ki Hasrat hai bas,
Main kab kehta hun waqat apna sara de do...
 

0 comments:

Post a Comment