Sunday, May 29, 2011

Hum Nahi Likhte

"Hum Nahi Likhte"

Nadi,Nale Ko Khatre Ko Samander Hum Nahi Likhte
Har Ek Zarre Ko Khursheed Munawar Hum Nahi Likhte
Baraye Housla Afzai Toh Likh Sakte Hain Laikin
Baraye Maslihat Kamtar Ko Bartar Hum Nahi Likhte
Kisi Ko Yunhi Azrah-E-Tamaskhar Likh Diya Hoga
Gar Har Kisi Badtarr Ko Behtar Hum Nahi Likhte
Humari Sadah Luhi Humko Deti Hai Fareb Aksar
Shawori TaurPar Rehzan Ko Rehbar Hum Nahi Likhte
Zaroori Hai Who Thoda Sa Dil Ka Bhi Tawangar Ho
Har Ahel-E-Maal Doulat Ko Tawangar Hum Nahi Kehte
Bila Khouf Wo Khatar Likhte Hain Hurf-E-Haq Jo Likhte Hain
Kisi Firoun Se Maroob Hokar Hum Nahi Likhte
Tumhe Yunhi Mazaqann Dushman-E-Jaan Likh Diya
Sitamgar Ko Bhi Waise Toh Sitamgar Hum Nahi Likhte
Mili Hai Baqt Se Naqd Wo Basirat Ki Nazar Humko
Chamakte Kaanch Ke Tukdoun Ko Gouhar Hum Nahi Likhte

0 comments:

Post a Comment