Monday, January 17, 2011

Jazbaat Kabhi Marte Nahi



Ek Aisi Soch hai ke Insaan Kayi Baar Aise Halaat Ka shikaar Ho Jaata Hai,

Ke Naa Chaah Kar Bhi Uski Zindagi mein Bahut Si Tabdeeliyan Aa Jaati Hai Par uski Soch,Uske Jazbaat Kabhi Nahi Badal Paate......

Do log Milke Bichadte Bhi hai

Apne-Apne Raaste Phir Chalte Bhi Hai

Majbooriyaon se Badi Koi Saza Nahi..

Par Insaan Waha Kuch kar Nahi Pata Jahan Khuda Ki Raza Nahi

Apne Hi Kismat se Hum Kabhi Ladte Nahi..

Par yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Aansu Bankar Yaadein Aankhon se Beh Jaate Hai

Kabhi Dil Ki Tanhai Bankar Yeh Dil mein Hi Reh Jaate Hai

Kabhi Kuch Na Kehkar Hum sab Kuch keh Jaate Hai

kabhi Veeraniyon mein Khud Se Hi Baatein Karte Reh Jaate hai..

Toote Hue Sapne Kabhi Sawarte Nahi

Par Yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Ghazal Bankar To kabhi Nazm Bankar yeh Dil se Kalam Par Utar Jaati hai

Kabhi Bhari Mehfil Mein Bhi yeh Tanha Kar Jaati hai..

Yeh Baat Aur hai ke Ab Hum Tanhaiyon Se Bhi Darte Nahi..

Par Tujhe Yaad Karne Ke siva Aur Kuch hum Karte nahi...

Shukar Hai Ke Hum Sheeshe Ki tarah Toot Kar Bikharte Nahi

Par yeh Baat Sach hai ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi...."

Agar Insaan Waqt Ke saath-Saath Na Chale To Woh Insaan Nahi,

Aisa Kaunsa DIL Hai Jisme Mein Koi Armaan Nahi,

Zakhm To Bahut Hote Hai,Par kahi Koi Nishaan Nahi..

Duniya Mein Aisa Koi Shaks Nahi Jo Dard sehkar bhi jiske Chehra Par Koi Muskaan Nahi

Jis Raah ke Pathar se chot Khaayi Ho, Phir uss Raah se Guzarte Nahi

Par yeh Baat Sach hai Ke "jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

yeh Zindagi hai Aur Har Insaan yahan Chal rahe Hai..

Kya Kabhi Yaadein Dafan Ho Jaate Hai??

Kya Waqt Aur halaat ke Mutaabik jazbaat mar Jaate hai???

 Beeti Baatein,Beeti Yaadein kabhi Dil se Nikalte Nahi..


Yeh Baat Sach hai Aur Sirf Sach!!! ke JAZBAAT KABHI MARTE NAHI



0 comments:

Post a Comment