Saturday, January 22, 2011

Ab Achha Lagta hai



Ajeeb hai ye kurbatoo ki duriyaan bhi
Sath reh kar bhi usko na pana ab achha lagta hai
Kismat mein nahi phir bhi usse chahte hain
Phool samaj kar kantoo par chalna ab achha lagta hai
Ab to mehfilo mein bhi hamare liye tanhayee hai
Gum chupakar mehfil ko sajana ab achha lagta hai
Mehfil mein doosro se ab hans hans kar milte hain
Tanhayee mein gum kai aansoo bahana ab achha lagta hai
Samjhaane par bhi samajta nahi hai ye dil
Uski yaad mein raaton ko tarapna ab achha lagta hai
Uski bairukhi ne itne diye hain zakhm ke
Zakhm khakar bhi muskrana ab achha lagta hai
Us Sangdil ne tor diya mere armaano ka Taj Mahal
Dil ke Kabristan mein armaano ko dafnana ab achha lagta hai
Jab wo hans hans kar baat kare doosro se
Apne ansuoo ko chupana tab achha lagta hai
Usse khokar to mere pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batlana ab achha lagta hai
Khud ko anmol samajne ka tha bara gurur mujhe
Baimol bikjana ab achha lagta hai
Khaye hain dhoke mohabbat mein itne
Phir bhi usko chahna achha lagta hai
Maloom hai is safar ki manzil nahi hai koi
Phir bhi safar karte rehna ab achha lagta hai
Wo to aakar bhi kab ka jaa chuka hai
Phir bhi uska intezaar karna ab achha lagta hai....

 

NIGHT IS LONGER FOR THOSE WHO DREAM,AND DAY IS LONGER FOR THOSE WHO MAKE THEIR DREAMS COME TRUE!

0 comments:

Post a Comment